Thursday, July 9, 2009

"Ek Mukhtasar Zindagi"


______________________________________
Abhi Abhi Ek Armaan Ne Angdaayi Lee Hai
Jaise Mere Khudaa Ne Doosri Zindagi Di Hai
Chookar Falaq Duniya Ko Dikhaana Hai
Aaj Nahi Toh Kal, Aage Ek Zamaana Hai
[Falaq = Sky | Armaan = Desire | Mukhtasar = Short]
______________________________________
Sehar Ka Intezaar Hum Nahi Karte Hai
Shams Ke Pehle Hum Nikalte Hai
Qalb Mein Ho Agar Jazba-e-Qaamil
Phir Toh Kya Pathhar Bhi Pighalte Hai
[Sehar = Day-break | Shams = Sun | Qalb = Heart |
Jazba-e-Qaamil = Firm Determination]
______________________________________
Muqaddar Mein Kya Likha Hai
Yeh Kis Shaatir Ne Pehchaana Hai
Khaaq Se Aaye The Yahaan
Khaaq Mein Mil Jaana Hai
[Muqaddar = Destiny | Shaatir = Clever | Khaaq = Soil]
______________________________________
Tarz-e-Zindagi Toh Meri
Kaawish Se Mutaraadif Hai
Banjar Zameen Mein Mujhe
Samandar Kheech Laana Hai
[Tarz-e-Zindagi = Lifestyle | Kaawish = Struggle |
Mutaraadif = Synonymous | Banjar = Barren]
______________________________________
Aayega Who Bhi Ek Din Yaqeenan
Jab Mere Armaan Ko Anjaam Milega
Zinda Dilee Se Hasungaa Main Bhi
Mutmaee'in Hokar Rukhsat-e-Hayaat Loonga
[Yaqeenan = Certainly | Mutmaee'in = Satisfied |
Rukhsat-e-Hayaat = End life i.e. To die]
______________________________________

No comments: