Showing posts with label Shayaries. Show all posts
Showing posts with label Shayaries. Show all posts

Thursday, July 9, 2009


Jis din se juda wo ham se hue
is dil ne dharakna chor dia

Hai chand ka mooh utra utra
taroon ne chamaka chor dia

Wo sath hamaray hota tha
be-rut hi bahar aa jati thi

Ab lakh baharein bhi aien
phoolon ne mehekna chor dia

Ik din ye dua mangi ham ne
"taqdeer badal de ay Maalik !"

Awaz ye aai ke " Ham ne ......
Taqdeer badalna chor dia !!"

Main lafzon mai kuch bhi ...Izhar nahi karta
Iska matlab ye nahi ....k main Tujhe pyar nahi karta

Chahta hoon main tujhe aaj bhi par.....
Teri soch mei apna waqt,Bekar nahi karta

Tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri !!!
Isi liye apne dard ko naam-o-daar nahi karta..

Jo kuch mila hai... usi mei khush hoon main
Tere liye khuda se ...ab Taqraar nahi karta

Par kuch to baat hai teri fitrat mein zalim....
Warna tujhe chahne ki khataa .........me baar baar nahi karta .

"Ek Mukhtasar Zindagi"


______________________________________
Abhi Abhi Ek Armaan Ne Angdaayi Lee Hai
Jaise Mere Khudaa Ne Doosri Zindagi Di Hai
Chookar Falaq Duniya Ko Dikhaana Hai
Aaj Nahi Toh Kal, Aage Ek Zamaana Hai
[Falaq = Sky | Armaan = Desire | Mukhtasar = Short]
______________________________________
Sehar Ka Intezaar Hum Nahi Karte Hai
Shams Ke Pehle Hum Nikalte Hai
Qalb Mein Ho Agar Jazba-e-Qaamil
Phir Toh Kya Pathhar Bhi Pighalte Hai
[Sehar = Day-break | Shams = Sun | Qalb = Heart |
Jazba-e-Qaamil = Firm Determination]
______________________________________
Muqaddar Mein Kya Likha Hai
Yeh Kis Shaatir Ne Pehchaana Hai
Khaaq Se Aaye The Yahaan
Khaaq Mein Mil Jaana Hai
[Muqaddar = Destiny | Shaatir = Clever | Khaaq = Soil]
______________________________________
Tarz-e-Zindagi Toh Meri
Kaawish Se Mutaraadif Hai
Banjar Zameen Mein Mujhe
Samandar Kheech Laana Hai
[Tarz-e-Zindagi = Lifestyle | Kaawish = Struggle |
Mutaraadif = Synonymous | Banjar = Barren]
______________________________________
Aayega Who Bhi Ek Din Yaqeenan
Jab Mere Armaan Ko Anjaam Milega
Zinda Dilee Se Hasungaa Main Bhi
Mutmaee'in Hokar Rukhsat-e-Hayaat Loonga
[Yaqeenan = Certainly | Mutmaee'in = Satisfied |
Rukhsat-e-Hayaat = End life i.e. To die]
______________________________________